123

Afreen Afreen #WithLyrics | Momina Mustehsan & Rahat Fateh Ali Khan at Coke Studio



Artists: Rahat Fateh Ali Khan & Momina Mustehsan
Album: Coke Studio Season 9: Sound of the Nation
Released: 2016


Afreen Afreen

Aisa dekha nahi khoob-soorat koyi
Jism jaise ajanta ki moorat koyi
Jism jaise nigaahon pah jaadu koyi
Jism naghmah koyi
Jism khush-bu koyi
Jism jaise mahakti hui chaandani
Jism jaise machalti hui raagini
Jism jaise kih khilta hua ik chaman
Jism jaise kih sooraj ki pahli kiran
Jism tarsha huwa dil-kash o dil-nisheen
Sandaleen sandaleen
Marmareen marmareen

Husn-I jaanaan ki ta’reef mumkin nahi
Husn-I jaanaan ki ta’reef mumkin nahi
Aafireen aafireen
Aafireen aafireen
Tu bhi dekhe agar to kahe ham-nisheen
Aafireen aafireen
Aafireen aafireen
Husn-I jaanaan ki ta’reef mumkin nahi
Husn-I jaanaan ki ta’reef mumkin nahi

Jaane kaise baandhe tu ne akhiyon ke dor
Man mera khincha chala aaya teri or
Mere chehre ke subh zulfon ki shaam
Mera sab kuchh hai piya ab se tere naam
Nazron ne teri chhuwa
To hai yih jaadu hua
Hone lagi hoon main haseen

Aafreen Aafreen Aafireen

Chehra ik phool ki tarh shaadaab hai
Chehra us ka hai ya koyi mahtaab hai
Chehra jaise ghazal chehra jaan-I ghazal
Chehra jaise kali chehra jaise kanwal
Chehra jaise tasawwur bhi tasweer bhi
Chehra ik khaab bhi chehra taa’beer bhi
Chehra koyi alf lailawi daastaan
Chehra ik pal yaqeen chehra ik pal gumaan
Chehra jaisa ke chehra kaheen bhi nahi
Maah-ru maah-ru mah-jabeen mah-jabeen

Husn-I jaanaan ki ta’reef mumkin nahi
Husn-I jaanaan ki ta’reef mumkin nahi
Aafireen aafireen
Aafireen aafireen
Tu bhi dekhe agar to kahe hamnisheen
Aafireen aafireen
Aafireen aafireen
Husn-I jaanaan ki ta’reef mumkin nahi

Aafreen aafreen
Aafreen aafreen
Aafireen

No comments