123

Ramazan Assalam Aye Ramazan Assalam by Aamir Liaquat Hussain

Ramazan Assalam Aye Ramazan Assalam by Aamir Liaquat Hussain


Assalam, Asalam, Asalaam, Aasalam,
Aie remat e azeem kay mehman assalam.

Quran kay nazool kay saman asalam,
Ramadan Assalam, Aie Ramzan Asalam.

Anwar e mustafa ka ujala liye huey,
Humday khuda ka saath hawala liye huway.

Tu aagaya hai aie mah e zeshaan assalam,
Ramadan Assalam, Aie Ramazan Asalam.

Kyun na tujhay salaam karein arsh ore zameen,
Teray sabab say sajdoon main jhuknay lagein jabeen.

Juzdaan mein rahay nahin Quran assalam,
Ramadaan Assalam, Aie Ramdan Asalam.

Punjgana ho namaz kay har jo zakat ho,
Hum sab rajoh kerat hain rehman ki taraf.

Lekin karam ki had hai yeh Rab e Kareem ki,
Ramzan chal kay aata hai insaan ki taraf.

Phir masjidoon main ronakein aabad ho gayein,
Bholi hoyi aabadatein phir yaad ho gayein.

Hum per bara hai tera yeh ehsan asalam,
Ramaadan Assalam, Aie Ramazan Asalam.

Sad shuker teray saath hai, pegham e eid bhi,
Yani kay teray baad hai rozay saeed bhi,

Kehtay hai tujh ko Aamir or Rehan asaalam,
Ramadan Assalam, Aie Ramzan Asalam.

==================================================
Source: Ramadan Kareem Collections Youtube Channel

No comments